tiramisu

tiramisu

Thursday, 5 October 2006

Kanak

Aaj subah ka rang dekh kar muskarane ko jee chaha
Yeh subah jaise kaha rahi ho mujhse, meri sunhari kirnon mein khel kar to dekho

Man aakhir muskara hi utha
Jis cheez ki chaah thi woh haath se fisalti rahi
Jo haath mein tha uski kadr jaan-na baki tha abhi

Ab yeh suhani subah chhed rahi thi mere chanchal man ko,
Ae zindagi, tujhe jeene ki chaah mein, tera ek mazaak aur sahi

**************************************************************************************

"Wherever you go, no matter what the weather, always bring your own sunshine."