tiramisu

tiramisu

Thursday, 17 September 2009

Aarasee

Teri aankhon mein teri rooh jhalakti hai

Teri muskaan se meri saans atakti hai

Teri hansi mein meri khushi bhatakti hai

Mera naam tumhare labhon par aaye yun

Jaise hoton se tumhare sudha tapakti hai

****************************************************************************

'It is better to light a small candle than to curse the darkness.'

Thursday, 25 June 2009

Sabr-e-intezaar

Tujhe yaad karte hain har lamha,
Har lamha ab saalon-sa lagta hai

Ab judaai nahin sahee jaati,
Jo tera aana mumkin-sa lagta hai

******************************************************************************
"Kaun kehta hai ki aasmaan mein suraag nahin hota... zara tabeeyat se patthar to maaro..."

Monday, 2 February 2009

Tere bin...

Woh tera chupke se aana, baahon mein hamein samaana
Woh shararat mein muskana, aur neendein churana
Bahut yaad aata hai

Yeh tera nazarein hataana, baat karne se katarana
Yeh nazdeeki se parhez farmana, door se hi chale jaana
Bahut sataata hai

Teri sazaa se kam berukhi se zyaada darte hain hum
Zamaana chhod denge tere liye, tujhse itna pyaar karte hain hum

*******************************************************************************

If you aren't living on the edge, then you are taking up too much space!